donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* GHARIIBE SHAHAR NE JAB BHI BULAND KI AAWAZ, *
GHARIIBE SHAHAR NE JAB BHI BULAND KI AAWAZ,
AMEERE SHAHAR NE JAKRHI ZABAAN MUT THII MEI'N,
YEHI TO ASL ASAASA THAA MARNE WAALE KA,
DABA HUA HAI JO IK SOOKHA NAAN MUT THII MEI'N,
NAA JANE KIS KE NASIIBO'N KO JAG MAGAE GA,
LIYE HUE HAI JO SONA KISAAN MUT THII MEI'N,
HAWA HAI, RANG HAI, KHUSHBOO HAI, PHOOL HAI TITLI,
 LAGI HUI HAI AJAB IK DOOKAAN MUT THII MEI'N,
BAS IK HARF YAQII'N KI TALAASH ME'N BARSO'N,
LIYE PHIRA HOO'N HAZAAR GUMAAN MUT THII MEI'N,
HAZAAR TAYERE FIKRE RASA KO PARCHAAYA,
NAA AA SAKA KABHI ZORE BAYAAN MUT THII MEI'N,
YEH KAISE SHER NIKALE HAI'N BE BAHA "KHUSRO",
GHAZAL HAI YA KOI HEERE KI KAAN MUT THII MEI'N.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 404