donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bas ik tasweer ko dil haar baithe *
Bas ik tasweer ko dil haar baithe,
Tumhari bhi to nadani bahut hai,
Bazahir tang damani bahut hai,
Magar isme bhi aasani bahut hai,
Kaha’n hai, kaun hai woh ,aur kya hai,
Tumhe’n yeh bhi pareshani bahut hai,
Khile hai’n phool sarso’n ke zamee’n per,
Hawa bhi aaj mastaani bahut hai,
Suna hai usne lahraya hai aanchal,
Feza bhi gayo’n ki dhaani bahut hai,
Gale, shikve shikayet, bas bhi kardo,
Mai’n laut aaya,meri rani bahut hai,
Meri tarah nahi TikTa mera dil,
Nahi kam yeh bhi sailani bahut hai,
Lab o rukhsar hoo’n ya chashm o abru,
Yeh duniya inki deewani bahut hai,
Na chherho zikre zulfe yar “Khusro”,
Kahani yeh bhi Toolani bahut hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374