donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai muddato'n se duago yeh shakhe shakh shajar *
Hai muddato'n se duago yeh shakhe shakh shajar,
Karam ki aik nazar ae Khodae bahro bar,
Weqar qaum ka apne watan ki zeenat tha,
Yehi shajar kabhi sehane chaman ki zeenat tha,
Kisi ne phoolo'n ko nocha,kisi ne bachcho'n ko,
Phalo'n ko torha To kata kisi ne shaakho'n ko,
Har aik darpae aazar hai jise dekho,
Raqeeb sayae deewar hai jise dekho,
Jo chahta hai wohi us ko zakhm deta hai,
Yeh aur baat hai ke har zakhm azm deta hai,
Hazaar qurb ke ba wasf faasle hai'n wohi,
Gale bhi milte hai'n baaham magar gile hai'n wohi,
Uthaaye haath yeh Takta hai sab ko mohr ba lab,
Hai dil me'n khauf ke naazil na ho Khoda ka ghazab,
Yehi dua hai ke sab log aik ho jaaye'n,
Jo bad hai'n aaj ke din woh bhi nek ho jaaye'n,
Yeh chhayo'n sab ke liye hai shajar hai sab ke liye,
Saro'n pe chhat jo hai qaayem To ghar hai sab ke liye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 365