donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ''Aa'eina keh raha hai k dildaar mujh maiN hai *
''Aa'eina keh raha hai k dildaar mujh maiN hai
dekho mujhe k aks e rukh e yaar mujh maiN hai

jab se ye dil ghulam e dar e mustafa huwa
ik wasf wasf e sorat e parkaar mujh maiN hai

baiRi hai paooN maiN na hai hathoN maiN hathkaRi
paas e wafa ka aik giraftaar mujh maiN hai

kaafi thi meri apni gawahi me're khilaaf
warna abhi bhi jur'at e inkaar mujh maiN hai

apni zubaaN ki kaat se hoN khud bhi zakhm zakhm
khanjr koi nihaN hai na talwaar mujh maiN hai

khud apni qatl gaar talak chal ke jaa sakoN
itna to hosla me're sarkar mujh maiN hai

kaisay karoN na apnay hi qatil se saaz baaz
khud mere khoN baha ka talbgaar mujh maiN hai

bughz o hasd, nifaaq o riyakaariyoN ke sath
zindah ameer e shaam ka kirdar mujh maiN hai

kis ke laho se surkh hai khusro zameen e dil
matam kunaaH ye kis ka azadaar mujh maiN hai''
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346