donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* ''Tabiyat maiN udasi baRh gaii hai *
''GHAZAL'' _ (''TABIAT MEIN UDASI BARH GAI HAY'')

''Tabiyat maiN udasi baRh gaii hai
udasi achi khaasi baRh gaii hai

me're jaise ki sheh pr had se apni
suna hai ghr ki maasi baRh gaii hai

nazr andaz kar k devta ko
ye kis ke saath daasi baRh gaii hai

gali koochoN ke ander barishoN maiN
samander ki nikasi baRh gaii hai

me're bachoN ki neendaiN uR gaii haiN
me're abba ki khaansi baRh gaii hai

mahabbat maiN me'ri beti se aagay
me'ri piyari nawasi baRh gaii hai

te'ri chahat me'ri gardan ka phanda
sazaooN maiN ye phansi baRh gaii hai

rubaii ne kaha hans kar kisi se
sukhn maiN ab salasi baRh gaii hai

suna hai khush kalami ghut gaii hai
kisi ki khush libaasi baRh gaii hai

huwa jis din se shouq e shaEr goii
hamari bad hawasi baRh gaii hai

na bhaya jab sukhn is dil ko khusro
nazr us roz piyasi baRh gaii hai''
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 383