donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Yeh nazare dekhlo aur who nazare dekhlo, *
Yeh nazare dekhlo aur who nazare dekhlo,
Aasma'n par jis qadar hai'n chand Taare dekhlo,

Jagmaga uThtii hai rah rah kar yeh apnii bhii zamee'n,
Is zamee'n par bhi to ho'nge kuchh sitare'n dekhlo,

Maa'n ne dii hai jaan bhooke peT do bachcho'n ke saath,
Do ko bechaa baap ne ghurbat ke mare dekhlo,

Khud ko lekar aaye hai'n bazaare neelami mei'n ham,
Tum bhii rozina nikalo,Goshware dekh lo,

Ham na kahte the Tumhari jeet hai hamko aziz,
Jang aadhii jeet kar bhi Tum se hare dekhlo,

Aam ke perho'n pe rah jaatii'n hai'n kachchii keria'n,
Sookh jate hai'n darakhto'n par kataare dekhlo,

Ab kaha'n baagho'n mei'n jhoole jhulti ham jolia'n,
Rang sawan ke gali koocho'n mei'n saare dekh lo,

Har qadam apne muqaddar ka gila karte hue,
Log kitne phir rahe hai'n mare mare dekhlo,

Jeb khali ho To aa jaata hai aawazo'n mei'n jhol,
Kis qader hai'n khokhle yaaro'n ke naare dekh lo,

Kab talak larhte rahoge apnii fitrat ke khilaaf,
Khol kar aa'nkhe'n mashiiat ke ishaare dekh lo,

Kaam achcha hai To duniya mai'n bhii achcha naam hai,
Kya rakha hai naam mei'n Khusro hamare dekh lo.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407