donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Feroze Natique Khusro
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* BAAD MUDDAT KE HUII'N US SE MULAQAATE'N BAHUT, *
BAAD MUDDAT KE HUII'N US SE MULAQAATE'N BAHUT,
APNI HI TASWEER SE KII'N HAMNE JAB BAATE'N BAHUT,
JIS QADAR SHIKWE GILE THEY US SE SAB HAM NE KIYE,
PESH KII'N AANE PE USKE HAMNE SAUGHAATE'N BAHUT,
HIJAR KE SAHRA MEI'N THAA HAR DIN KATHIN US KE BAGHAIR,
HAR NAFS DASTI RAHII'N US KE BINA RAATE'N BAHUT,
HAI BAHUT IK BOOND PAANI KHUSHK HO'NTO'N KE LIYE,
YU'N TO HONE KO BHI HO JAATI HAI'N BARSAATE'N BAHUT,
DARD HO'NTO'N PAR DUAAO'N KA HAI SOTE JAAGTE,
PAALNE WAALE SE KARTE'N HAI'N MANAJAATE'N BAHUT,
US KE GHAR SE SAALE NAU KI TAHNIYAT KE SAATH SAATH,
HAM GHARIIBO'N KE LIYE AAYII HAI'N SAUGHAATE'N BAHUT,
AUR BHI KUCHH DIN RAHEGA RAAJ DAHSHAT KA YAHA'N,
KHAUF KI CHAADER MEI'N LIPTI AAYE'NGI RAATE'N BAHUT,
GHAR KE ANDER QAID APNE AAP KO KAR LIJIYE,
BHAR GAYII HAI'N BE GUNAAHO'N SE HAWAALATE'N BAHUT,
UMR BHAR "KHUSRO" TOO APNE AAP MEI'N BAT TA RAHA,
TERE ANDER BHI HAI'N AB FARQE KAYII,ZAATE'N BAHUT.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 361