donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Firaq Gorakhpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Har jalve se ek dars-e-numoo letaa huN, *
Har jalve se ek dars-e-numoo letaa huN,
labrez ka’ii jaam-o-suboo leta,
padtii hai jab aaNkh tujhpe ai jaan-e-bahaar,
sangeet ki sarHadoN ko chhuu letaa huN,
har saaz se hotii nahiiN ek dhun paidaa,
hotaa hai baRe jatan se ye gun paidaa,
meezaan-e-nashaat-o-Gham meiN sadioN tul kar,
hotaa hai haalaat meiN tavaazun paidaa,
sehraa meiN zamaaN makaa’n-o ke kho jaati haiN,
sadioN bedaar rah ke so jaati haiN,
aksar sochaa kiyaa huN khal_wat meiN Firaq,
teHzeebein kyuN Guroob ho jaati haiN,
ek halqaa-e-zanjeer tau zanjeer nahiiN,
ek nuqtaa-e-tasveer tau tasveer nahiiN,
taqdeer to qaumoN ki huvaa kartii hai,
ek shakhs ki taqdeer ko’ii taqdeer nahiiN,
maaHtaab mein surKh anaar jaise chute,
sabza se kazaa lachak ke jaise chute,
wo qad hai ke bhairavii jab sunaaye sur ko,

GhunchoN se bhi narm Ghunchagi dekhii hai,
naazuk kam kam shaguftagii dekhii hai,
haaN, yaad hain tere lab-e-aasooda mujhe,
tasveer-e-sukoon-e-zindagii dekhii hai,
zulf-e-pur_kham inaam-e-shab moRtii hai,
aawaaz tilism-e-teergii toRtii hai,
yuN jalvoN se tere jagmagaatii hai zamiiN,
naagin jis tarah keiN-chulii choRtii hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 401