donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ghalib Ayaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hua karega har ek lafz mushkbaar apna *
Hua karega  har ek lafz mushkbaar  apna
Abhi  sakooN se kiye jaao!  Intezaar  apna
Utha liya hai bhalay  half jaaN – nisaari ka
Mujhe sanbhaal, ke hota huN bar bar apna
Udaas aankhoN ko hai intezar fasl E muraad
Kabhi to mausam e jaN hoga saazgaar apna
Tumhaare dar se uThaye gaye, malaal nahi
WahaN to chhoR ke aaye hain hum ghubaar apna
Sabhi chiraaGh kamar-bastaa haiN hawa k khilaf
Bechaari le ke kahaaN jaye inteshaar apna
Bahut buland hui jaati hai anaa ki faseel
So hum bhi tang kiye jaate haiN hisaar apna
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 328