donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ghalib Ayaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Woh meri rooh ko shaadaab karta rahta tha *
Woh  meri rooh ko shaadaab karta rahta tha
Main un dinoN safar E khaab karta rahta tha
 
Bas eik zikr tera tha jo gaah gaah mujhay
Aseer E halqaa E ahbaab karta rahta tha
 
Use to zakhm-rutaiN dekhne ki aadat thi
MaiN chaaraa-jooyii ke asbab karta rahta tha
 
Hum ek ghar ke liye khaar, aur hakim e shahr
Shumar E gumbad O mehraab karta rahta tha
 
Usay khabar thi K maiN paar utar hi jaauNga
So, kashtiyaaN meri Gharqaab karta rahta tha
***********
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 346