donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ghalib Ayaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sar mera kaam yeh kar aaya tha *
Sar mera kaam yeh kar aaya tha
Kooy E qatil se guzar aaya tha
Apni hi khoj me sargardaaN hun
Main kahaaN jaake bikhar aaya tha
Kya pata uski haiN kitni shakleN
Raat to aankh mein bhar aaya tha
Dasht E ghurbat mein khyaal aata hai
Ghar bhi dauraan E safar aaya tha
Sangbarii se woh bachte bachte
Gahre paani mein utar aaya tha
Shairi aaj  sar e raah mili !!!
Rang roop uska nikhar aaya tha.
****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329