donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ghalib Ayaz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhi gumaan, kabhi aetebaar ban ke raha *
Kabhi gumaan,  kabhi aetebaar ban ke raha
Dayaar e chashm mein wo intezaar ban ke raha
Hazaar khaab meri milkiyat mein shamil the
MaiN tere ishq mein sarmaya daar ban ke raha
Tamaam umr  use chaahnaa na tha  mumkin
Kabhi kabhi to wo is dil pe baar ban ke raha
Usi ke naam karuN maiN tamaam ahd e khyal
Daroon e jaaN jo mere sog-waar ban ke raha
Agarche shahr meiN mamnu’ thi himaayat e khab
Magar yeh dil sabab e inteshaar ban ke raha
(Ghalib Ayaz)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329