|
* jis din huaa paThaan ke murGe kaa inteqaal *
jis din huaa paThaan ke murGe kaa inteqaal
daawat kii maulavii kii tab aayaa use Khayaal
murdaar murG kii huii mullaa ko jab Khabar
saaraa badan sulag uThaa, Gaalib huaa jalaal
kahane lage khilaaoge mam gosht?
tum ko nahii.n zaraa bhii shariyat ka kuchh Khayaal
murdaar Gosht to shariyat me.n hai haraam
jab tak na zibaah kiijiiye, hotaa nahii.n halaal
fatawaa jab apanaa maulavii saahab sunaa chuke
jhunjhalaa ke Khan ne kiyaa tab un se ye sawaal
kaisii hai aap kii ye shariyat bataaiiye
ba.nde ko kar diyaa hai Khudaa se bhii baa-kamaal?
allaah jis ko maar de, ho jaaye wo haraam
ba.nde ke haath jo mare, ho jaaye wo halaal?
************ |
|