|
* Dil kii baat labo.n par laakar ab tak ham dukh sah-te hai.n, *
Dil kii baat labo.n par laakar ab tak ham dukh sah-te hai.n,
ham ne sunaa thaa is bastii me.n dil vaale bhii rah-te hai.n,
biit gayaa saavan kaa mahiinaa mausam ne nazare.n badalii,
lekin in pyaasii aa.Nkho.n me.n ab tak aa.Nsuu bahate hai.n,
ek hame.n aavaaraa kahanaa koii ba.Daa ilzaam nahii.n,
duniyaa vaale dil vaalo.n ko aur bahut kuchh kahate hai.n,
jis kii Khaatir shahar bhii chho.Daa jis ke liye bad-naam hue,
aaj vahii ham se begaane begaane se rahate hai.n ,
vo jo abhii rah guzar se chaak-e-garebaa.N guzaraa thaa,
us aavaaraa diivaane ko ’Jalib’-’Jalib’ kahate hai.n.
|
|