* Kaun hu’n kiya hu’n kaha’n par hu’n mujhe tum janlo *
Ghazal numa
Kaun hu’n kiya hu’n kaha’n par hu’n mujhe tum janlo
Har tarah pahchaan lo
Aaj ka insan haqiqat me bra kam zarf hai
Uska mat ehsan lo
Perh patto’n se jhulasti dhoop se ho jis tarah
Mil sake gyaan lo
Chal pare ho jab safar par zist ke to saath me’n
Maut ka saamaan lo
Wasl kee shab aane wali hai agar anjum to phir!
Saath me’n ek paan lo
|