donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Banarasi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye *
Aaiinaa-e-khuloos-o-wafaa chuur ho gaye,
jitne chiraaGh-e-noor the, benoor ho gaye,
maaloom ye huvaa ke wo raste ka saath thaa,
manzil kareeb aayii to ham duur aa gaye,
manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN,
haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye,
kuch aa gayii ham ahl-e-wafaa meiN bhi tamkanat,
kuch wo bhii apne husn pe maGhruur ho gaye,
chaaraGaroN ki aisii inaayat huvii “Hafeez”,
ke jo zakhm bhar chale the wo naasuur ho gaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 953