* Safeene ka jo Nakhoda ban gaya hai *
Safeene ka jo Nakhoda ban gaya hai
Khuda ki tarah baat karne laga hai
Koii us ki surat bhi dekhla de us ko
Jo har shakhs par tabsare kar raha hai
Dhua'n uthh raha hai mere aashiya'n se
Zamana samajhta hai kali ghata hai
Faroza'n hua hai chiragh-e-tamanna
Lahoo dil ka jab aasuo'n me'n dhala hai
Usi par mare hai sitam dhaye hai jo
Hamara yeh dil bhi ajib sarphira hai
Gharhi hai yahi din ke dhalne ki shayad
Mera saya mujh se barha ho gaya hai
Nawaza jise hamne lal-o- guhar se
Usi hathh se ham ko patthar mila hai
Use koii Qatil se kamtar na samjhe
Jo qatil ko ghar me'n ama de Raha hai
Koii pi ke bahke , koii sifr tarse
Yahi maikda hai to keya maikda hai
Baharo'n ka matlab ''Hafeez'' us se poochho
Baharo'n me'n jis ka nasheman jala hai
|