donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Hoshiarpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kuchh is tarah se nazar se guzar gayaa koii *
kuchh is tarah se nazar se guzar gayaa koii
ki dil ko Gham kaa sazaavaar kar gayaa koii

dil-sitam-zadaa ko jaise kuchh huaa hii nahii’n
Khud apane husn se yuu’n beKhabar gayaa koii

nigaah-e-shauq kii maharuumiyo’n se naavaaqif
nigaah-e-shauq pe ilzaam dhar gayaa koii

ab unke husn me’n husn-e-nazar bhii shaamil hai
kuchh aur merii nazar se sanvar gayaa koii

kisii ke paanv kii aahat, ki dil kii dharhkan thii
hazaar baar uthaa suu-e-dar gayaa koii

nasiib-e-ahal-e-vafaa ye sukuun-e-dil to na thaa
zaruur naalaa-e-dil be-asar gayaa koii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 397