donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Jaunpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Baith jaataa hoo’n jahaa’n chhaanv ghanii hotii hai *
Baith jaataa hoo’n jahaa’n chhaanv ghanii hotii hai 
haaye kyaa chiiz Ghariib-ul-vatnii hotii hai

din ko ik nuur barastaa hai merii turbat par 
raat ko chaadar-e-mahataab tanii hotii hai

lut gayaa vo tere kuuche me’n rakhaa jis ne qadam 
is tarah kii bhii kahii’n raahzanii hotii hai

hijr me’n zahar hai saaghar kaa lagaanaa muunh se 
may kii jo boond hai hiiro’n kii kanii hotii hai

maikashon ko na kabhii fikr-e-kam-o-besh huii 
aise logon kii tabiiyat bhii Ghanii hotii hai

hook uthatii hai agar zabt-e-fughaa’n kartaa hoo’n 
saans rukatii hai to barchhii kii anii hotii hai

pii lo do ghuunt ki saaqii kii rahe baat "Hafeez" 
saaf inkaar me’n Khaatir-shikanii hotii hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394