|
* Koii chaaraa nahii.n duaa ke sivaa , *
Koii chaaraa nahii.n duaa ke sivaa ,
koii suntaa nahii.n Khudaa ke sivaa,
mujh se kyaa ho sakaa vafaa ke sivaa ,
mujh ko miltaa bhii kyaa sazaa ke sivaa,
dil sabhii kuchh zabaan par laayaa,
ik faqat arz-e-mudda’a ke sivaa,
barasar-e-saahil-e-muqaam yahaa.N ,
kaun ubharaa hai naaKhudaa ke sivaa,
dil sabhii kuchh zubaa.N par laayaa ,
ik faqat arz-e-muddaa ke sivaa,
[faqat=merely; arz-e-muddaa=expressing]
dosto.n ke ye mukhalii saanaa tiir ,
kuchh nahii.n merii hii Khataa ke sivaa,
ye "Hafeez" aah aah par aaKhir ,
kya kahe.n dost vaah vaah ke sivaa.
|
|