donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Jullundhary
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake, *
Ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake, 
tumne hame.n bhulaa diyaa, ham na tumhe.n bhulaa sake,
tum hii na sun sake agar, qissaa-e-Gam sunegaa kaun ,
kis kii zubaa.N khulegii phir, ham na agar sunaa sake,
hosh me.n aa chuke the ham josh me.n aa chuke the ham ,
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake,
shauq-e-visaal hai yahaa.N, lab pe savaal hai yahaa.N ,
kis kii majaal hai yahaa.N, ham se nazar milaa sake,
raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikaayate.n rahii.n ,
dil me.n shikaayaten rahii.n lab na magar hilaa sake,
aisaa bhii ko_ii naamaabar baat pe kaan dhar sake ,
sun kar yakiin kar sake jaa ke u.nhe.n sunaa sake,
ahal-e-zabaa.N to hai.n bahut koii nahii.n hai ahal-e-dil ,
kaun terii tarah "hafeez" dard ke geet gaa sake.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 286