donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hafeez Jullundhary
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye kyaa muqaam hai vo nazaare kahaa.N gaye, *
Ye kyaa muqaam hai vo nazaare kahaa.N gaye,
vo phuul kyaa huye vo sitaare kahaa.N gaye,
yaaraan-e-bazm-e-jurr’at-e-ri.ndaanaa kyaa hu-ii,
un mast a.nkha.Diyo.n ke ishaare kahaa.N gaye,
ek aur daur kaa vo taqaazaa kidhar gayaa,
uma.De huye vo hosh ke dhaare kahaa.N gaye,
uTh uTh ke baiTh chukii gard raah kii,
yaaro qaafile thake haare kahaa.N gaye,
betaab tere dard se the chaaraagar "Hafeez" ,
kyaa jaaniye vo dard ke maare kahaa.N gaye.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 297