|
* Yaar ko mai'n ne mujhe yaar ne sone na diya *
Yaar ko mai'n ne mujhe yaar ne sone na diya,
Raat bhar tali-e-bedar ne sone na diya,
Ek shab bulbul-e-betab ke jage na nasib,
Pahaluu-e-gul main kabhi Khar ne sone na diya,
Rat bhar ki dil-e-betab ne baten mujh se,
Mujh ko is ishq ke bimar ne sone na diya.
|
|