donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Haider Qureshi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hamara silsila boghdad se arab se hai *
Hamara silsila boghdad se arab se hai
Aur is ka silsila changez ke nasab se hai

Zami'n ke jhoote khodaao'n se kuchh nahi'n lena
Mera mamla ab sirf apne rab se hai

Mila hai rabt anokha gunah se us ka 
Doa-e-dil ka taaluq bhi neem shab se hai

Yeh karobar-e-mohabbat to faayeda dega
Use rasad se gharz aur mujhe talab se hai

Umand raha hai samundar jo peyaas ka itna
Kuchh us ka rishta kisi aariz aur lab se hai

Hamari be khabri bhi baja sahi "Haidar"
Par us ki barhami bhi to kisi sabab se hai

		Rossert Street No.-6, 65795, Hatters Heim-l,
		(Germany)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 448