donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hamid Baaqri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo bhi karta hai bhala uska bhala hota hai *
Jo bhi karta hai bhala uska bhala hota hai
har bure kaam ka anjaam bura hota hai

aage badhte hai’n yeh zarre kabhie rukte hi nahi’n
jo na harkat kare insa.n woh fana hota hai

paise waalo.n ko jahaa.n wale bada kehte hai.n
rab ki nazro.n mei.n to kirdaar bada hota hai

har sakhi karta sakhaawat hai hamesha ginkar 
rizq behad hame.n moula se ata hota hai

mutmain dil hai mera mujhko yaqee.n hai mohkam
jo bhi hota hai mere haq mei.n baja hota hai

gham na kar badhta chala ja teri manzil ki taraf
sacche muslim ka madad gaar khuda hota hai

gar jawaani mei.n ibaadat ko baja laa na sake
qarz mushkil se budhaape mei.n ada hota hai

zindagi guzri gunaaho.n mei.n hamaari haamid
aakhri waqt mei.n hosh aaye to kya hota hai

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 374