donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hasan Rizvi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kabhii kitaabo.n me.n phuul rakhnaa *
Kabhii kitaabo.n me.n phuul rakhnaa ,
kabhii daraKhto.n pe naam likhnaa ,
hame.n bhii hai yaad aaj tak vo ,
nazar se harf-e-salaam likhnaa,
vo chaa.Nd chehre vo bahakii baate.n ,
sulagte din the mahaktii raate.n ,
vo chhoTe-chhoTe se kaaGhazo.n par ,
muhabbato.n ke payaam likhnaa,
[payaam=message] 
gulaab cheharo.n se dil lagaanaa ,
vo chupke chupke nazar milaanaa ,
vo aarazuuo.n ke Khvaab bunanaa ,
vo qissaa-e-naatamaam likhnaa,
mere nagar kii hasii.n fazaao ,
kahii.n jo un ke nishaan paao ,
to puuchhanaa ye kahaa.N base ho ,
kahaa.N hai.n un kaa qayaam, likhnaa,
ga_ii ruto.n me.n "Hasan" hamaaraa ,
bas ek hii to ye mashGhalaa thaa ,
kisii ke chehre ko subah kahnaa ,
kisii kii zulfo.n ko shaam likhnaa,
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 372