donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hashar Sahsarami
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sarka jo roo'e dost se gosha neqaab ka *
Sarka jo roo'e dost se gosha neqaab ka
aalam hi kuchh aur hii thaa mere Izterab ka

aisho tarab se khild se mujh ko gharaz nahii
mai'n to neyaz mand hoo'n teri janab ka

hai'n mahuu kaisi neend mei'n yaarane maikada
chaunka saka na shor kisi inqelaab kaa

kalke kheyal safhae dil per utaar de
naqsha kisi haseen ke ahde shabab ka

deta hai darse hastii napaid ka hame'n
ban ban ke satahe aab pe mitna habab ka

aa soodgaane khaak bhii hai khaak mutmayin
khatka laga hua hai jo roze hisab ka

Khurshid hashar ka mujhe ae 'Hasher' gham nahii
saya rahega sar pe resalat maab (SAW) ka
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 435