* Ab to uth saktaa nahii’n aankho’n se baar-e-intazaar *
Ab to uth saktaa nahii’n aankho’n se baar-e-intazaar
kis tarah kaate koii lail-o-nahaar-e-intazaar
un kii ulfat kaa yaqii’n ho un ke aane kii ummiid
ho’n ye dono’n suurate’n tab hai bahaar-e-intazaar
merii aahe’n naarasaa merii duaae’n naa qubuul
yaa ilaahii kyaa karuu’n mai’n sharmsaar-e-intazaar
un ke Khat kii aarazuu hai un ke aamad kaa Khayaal
kis qadar phailaa huaa hai kaarobaar-e-intazaar
|