* Husn-e-bepar vaah ko Khud bib-o-Khudaaraa kar diyaa *
Husn-e-bepar vaah ko Khud bib-o-Khudaaraa kar diyaa
kyaa kiyaa mai’n ne ki izahaar-e-tamannaa kar diyaa
bad gayii’n tumse to milkar aur bhii betaabiyaa’n
ham ye samjhe the ki ab dil ko shakebaa kar diyaa
pad ke teraa Khat mere dil kii ajab haalat huii
iztaraab-e-shauq ne ek hashr barpaa kar diyaa
ham rahe yaa’n tak terii khidmat me’n sargarm-e-nayaaz
tujhko aakhir aashanaa-e-naz-e-bejaa kar diyaa
ab nahi’n dil ko kisii suurat kisii pahaluu qaraar
is nighat-e-naaz ne kyaa sahir aisaa kar diyaa
ishq se tere bade kyaa kyaa dilo’n ke martabe
mahr zarro’n ko diyaa qatro’n ko dariyaa kar diyaa
terii mahfil se uthaataa Ghair mujhko kyaa majaal
dekhataa thaa mai’n ki tuune bhii ishaaraa kar diyaa
sab Ghalat kahte the lutf-e-yaar ko wajah-e-sukuu’n
dard-e-dil is ne to 'Hasrat' aur duunaa kar diyaa
|