donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hasrat Mohani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam, *
Raushan jamaal-e-yaar se hai anjuman tamaam,
dahkaa hu’aa hai aatish-e-gul se chaman tamaam,
(raushan : glowing; jamaal-e-yaar : beauty of the beloved;  aatish-e-gul : fire of the flower)
hairat Ghuruur-e-husn se, shoKhii se iztiraab,
dil ne bhii tere siikh liye haiN chalan tamaam,
( iztiraab : restlessness; chalan : manners)
Allaah re husn-e-yaar kii Khuubii ke Khud-ba-Khud,
rangiiniyoN meN Duub gayaa pairahan tamaam,
(husn-e-yaar : beauty of the beloved; pairahan : robe)
dekho to husn-e-yaar kii jaaduu-nigaahiyaaN,
behosh ek nazar meN hu’ii anjuman tamaam,
(jaaduu-nigaahiyaaN : bewitching glances)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 398