donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hasrat Mohani
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dil ko Khyaal-e-yaar ne maKhmuur kar diyaa, *
Dil ko Khyaal-e-yaar ne maKhmuur kar diyaa,
saagar ko rang-e-baadaa ne purnuur kar diyaa,
maayuus ho chalaa thaa tasallii se haal-e-dil,
phir tuune yaad aa ke ba-dastuur kar diyaa,,
gustaaKh-dastioN kaa na thaa mujh meN hausilaa,
lekin hujuum-e-shauq ne majbuur kar diyaa,
kuch aisii ho gayii hai tere Gham kii mubtilaa,
goyaa kisii ne jaan ko mashuur kar diyaa,
betaabioN se chhup na sakaa maajraa-e-dil,
aaKhir huzuur-e-yaar bhii mazkuur kar diyaa,
ahl-e-nazar ko bhii nazar aaya na ruu-e-yaar,
yaaN tak hijaab-e-yaar ne mastuur kar diyaa,
“Hasrat” bahut hai martabaa aashiquii buland,
tujh ko to muft logoN ne mash’huur kar diyaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351