donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Himayat Ali Shayar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ab bataao jaayegii zindagii kahaa.N yaaro *
Ab bataao jaayegii zindagii kahaa.N yaaro,
phir hai.n barq kii nazare.n suu-e-aashiyaa.N yaaro,

ab na ko_ii manzil hai aur na rah_guzar ko_ii,
jaane qaafilaa bhaTake ab kahaa.N kahaa.N yaaro,

phuul hai.n ki laashe.n hai.n baaGh hai ki maqtal hai,
shaaKh shaaKh hotaa hai daar kaa gumaa.N yaaro,

maut se guzar kar ye kaisii zindagii paa_ii,
fikr paa-ba-jaulaa.N hai gung hai zabaa.N yaaroo,

turbato.n kii shamaye.n hai.n aur gahrii Khaamoshii,
jaa rahe the kis jaanib aa gaye kahaa.N yaaro,

raahzan ke baare me.n aur kyaa kahuu.N khul kar,
miir-e-kaaravaa.N yaaro miir-e-kaaravaa.N yaaro,

sirf zindaa rahne ko zindagii nahii.n kahte,
kuchh Gham-e-muhabbat ho kuchh Gham-e-jahaa.N yaaro.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 348