donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Himayat Ali Shayar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Paao.n ke zaKhm hai.n farsh-e-gul-e-tar hone tak *
Paao.n ke zaKhm hai.n farsh-e-gul-e-tar hone tak,
raah dushvaar hai aaGhaaz-e-safar hone tak,


ye alag baat ke Khaamosh hai.n ahl-e-zindaa.N,
varnaa ye qaid hai diivaar me.n dar hone tak,

[ahl-e-zindaa.N = residents of prison]

ek nazar naqsh-e-kaf-e-paa kaa hunar to dekho,
kahkashaa.N sii nazar aatii hai sahar hone tak,

[naqsh-e-kaf-e-paa = footprints; kahkashaa.N = Milky Way]

haaye vo biij jo miTTii me.n dabaa rahtaa hai,
kin maraahil se guzartaa hai shajar hone tak,

 
kyaa Khabar tum ko ki ye saqf ye diivaar hai.n kyaa,
ham pe kyaa guzrii hai is chhaao.n ke ghar hone tak.

[saqf = ceiling]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 393