|
* Is baar vo milaa to ajiib us kaa rang thaa *
Is baar vo milaa to ajiib us kaa rang thaa ,
alfaaz me.n tarang na lahjaa dabang tha ,
ek soch thii ki bikhrii hu_ii Khaal-o-Khad me.n thii ,
ek dard thaa ki jis kaa shahiid ang-ang thaa ,
[Khaal-o-Khad=body]
ek aag thii ki raakh me.n poshidaa thii kahii.n,
ek jism thaa ki ruuh se masaruuf-e-jang thaa ,
[poshiidaa=hidden; masaruuf=busy in]
mai.n ne kahaa ki yaar tumhe.n kyaa huaa hai ye ,
us ne kahaa ki umr-e-ravaa.N kii ataa hai ye,
[umr-e-ravaa.N=life in passing]
mai.n ne kahaa ki umr-e-ravaa.N to sabhii kii hai ,
us ne kahaa ki fikr-o-nazar kii ataa hai ye ,
mai.n ne kahaa ki sochtaa rahta to mai.n bhii huu.N ,
us ne kahaa ki aa_iinaa rakhaa huaa hai ye ,
dekhaa to meraa apnaa hii aks-e-jamaal thaa vo ,
vo mai.n thaa aur "Himayat Ali" thaa vo .
|
|