donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ibrahim Zauq
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hai tere kan zulf e muimbar lagi hui *
Hai tere kan zulf e muimbar lagi hui
Rakkhegi ye na bal barabar lagi hui
Baithe bhare hue hain khum e mai ki tarah ham
Par kya karen ke muhar hai moo par lagi hui
Mayyat ko gusal dijo na khaksar ki
Hai tan pe khak e kucha e dilbar lagi hui
Nikale hai kab kisi se bhi us ki mizha ki nok
Hai phans si kaleje ke andar lagi
Ai `zauq` dekh dukhtar e raz ko na moo laga
Chutati nahi hai munh se ye kafir lagi hui
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1553