|
* Marte hai.n tere pyaar se ham aur ziyaada *
Marte hai.n tere pyaar se ham aur ziyaada,
tuu lutf me.n karataa hai sitam aur ziyaadaa ,
de.n kyo.n ki na vo daaGh-e-alam aur ziyaadaa ,
qiimat me.n ba.Dhe dil ke diram aur ziyaadaa,
[diram=an old currency , currency of UAE)]
kyaa hovegaa do-chaar qadah se mujhe saaqii,
mai.n luu.Ngaa tere sar kii qasam aur ziyaadaa,
[qadah=peg]
vo dil ko churaakar jo lage aa.Nkh churaane,
yaaro.n kaa gayaa un pe bharam aur ziyaadaa,
kyo.n mai.n ne kahaa tujh saa Khudaa_ii me.n nahii.n aur,
maGaruur huaa ab vo sanam aur ziyaadaa ,
lete hai.n samar shaaKh-e-samaravar ko jhukaakar ,
jhukate hai.n saKhii vaqt-e-karam aur ziyaadaa ,
[samar=fruit; shaaKh-e-samaravar=fruit-ladden branch]
[ vaqt-e-karam=time of benevolence]
jo kunj-e-qana'at me.n hai.n taqadiir pe shaakir,
hai "Zauq" baraabar unhe.n kam aur ziyaadaa.
[kunj-e-qana'at=corner of satisfaction; shaakir=satisfied]
|
|