donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftekhar Imam Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tuu nahii.n to zindagii mai.n aur kyaa rah jaayegaa *
Tuu nahii.n to zindagii mai.n aur kyaa rah jaayegaa ,
duur tak tanhaa_iiyo.n kaa sil_silaa rah jaayegaa, 

kiijiye kyaa guftaguu kyaa un se mil kar sochiye, 
dil-shikastaa Khvaahisho.n kaa zaayaqaa rah jaayegaa, 

dard kii sarii tahe.n aur saare guzare haadase, 
sab dhuaa.N ho jaaye.nge ek vaaqiyaa rah jaayegaa, 

ye bhii hogaa vo mujhe dil se bhulaa degaa magar, 
yuu.N bhii hogaa Khud usii me.n ek Khalaa rah jaayegaa, 

[Khalaa=vacuum] 

daayar-e-inkaar ke iqaraar kii saragoshiyaa.N, 
ye agar TuuTe kabhii to faasalaa rah jaayegaa. 

[daayaraa=circle; saragoshiyaa.N=whispers] 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 328