donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftekhar Imam Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuchh nahi’n hoo’n mai’n amal daro’n ke bich *
Kuchh nahi’n hoo’n mai’n amal daro’n ke bich,
Ho’n jo rahmat ke talab garo’n ke beech,

Aag hoti ek duniya aur mai’n,
Phool aise lafz angaro’n ke beech,

Aadmi ! gum ho raha hai aadmi,
Urh rahi hai dhool bazaro’n ke beech,

Bekasi, bezargi, be chehragi,
Ghir gaye ham kaise aazaro’n ke beech,

Zindagi ai Zindagi ! yeh keya hua !
Ghir gayee hai too parastaro’n ke beech,

Ro rahe ho shor se keyo’n ai “Imam”,
Dosti keya margayee yaaro’n ke beech,

			Editor ‘’Shair’’ P.O Box. No-3770
			Girgaon H.P.O Mumbai-400004
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 394