* Kamar baandhe huye chalne pe yaa’n sab yaar baithe hai’n *
Kamar baandhe huye chalne pe yaa’n sab yaar baithe hai’n
bahut aage gaye, baaqii jo hai’n tayyaar baithe hai’n
na chhed ai nikahat baad-e-bahaarii, raah lag apanii
tujhe athakheliyaa’n suujhii hai’n, ham bezaar baithe hai’n
Khayaal un kaa pare hai arsh-e-aazam se kahii’n saaqii
garaz kuchh aur dhun me’n is ghadii maikhvaar baithe hai’n
basaane naqsh-e-paa-e-raharavaan kuu-e-tamannaa me’n
nahii’n uthane kii taaqat kyaa kare’n laachaar baithe hai’n
kahen hai’n sabr kis ko aah nang-o-naam hai kyaa shai
garaz ro piitakar in sab ko ham yakbaar baithe hai’n
kahiin bose kii mat jurrat dilaa! kar baithiyo un se
abhii is had ko vo kaifii nahii’n hoshiyaar baithe hai’n
najiibo’n kaa ajab kuchh haal hai is daur me’n yaaro’n
jise puuchho yahii kahate hai’n ham bekaar baithe hai’n
naii yah vazaa sharmaane kii siikhii aaj hai tum ne
hamaare paas saahab varnaa yuu’n sau baar baithe hai’n
kahaan gardish falak kii chain detii hai sunaa 'Insha'
Ganiimat hai ki ham-suurat yahaa’n do chaar baithe hai’n
|