donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iqbal Mirza
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Raat ke roop hazar me'n kis ki baat karoo'n *

Raat ke roop hazar me'n kis ki baat karoo'n
Shabnam bani sharar me'n kis ki baat karoo'n

Ek dhare ke do jazbe ulfat, nafrat
Phool ke sath hai khar mai'n kis ki baat karoo'n

Dushman to dushman hai us se kiya darna
Yar kare jab war mai'n kis ki baat karoo'n

Raat ki saath hai din to dukh ke sath hai sukh
Jeet ke sath hai har mai'n kis ki baat karoo'n

Ulfat me'n to bas dena hi dena hai
Lena hai beopar mai'n kis ki baat karoo'n

Tauba karte hi "Mirza" mausam badla
Parhne lagi phuhar mai'n kis ki baat karoo'n

				Editor'' Sada" Monthly P.O. Box No.630
				Croydon, CR9 2WN, London
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 458