donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Irfan Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN mai.n *
Badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN mai.n,
ke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN mai.n,
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raat,
tuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN mai.n,
(zavaal : nadir; tulu :  appearing)
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne ko
to aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN mai.N,
(jaamaa-zeb : ?;  pairahan-e-jaaN : clothes of the soul)
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekh
havaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN mai.n,
(Ghubaar-e-rahguzar : dust of the path;  havaa-e-taazaa : fresh breeze)
maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,
aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN mai,n.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 352