donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Irfan Siddiqui
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Lashkar E ishq ne jab se kheeme kiye, kuchh na kuchh roz sarhad baRhaa li gayi *
Lashkar E ishq ne jab se kheeme kiye, kuchh na kuchh roz sarhad baRhaa li gayi
Aur phir ek din mere dil ki zameeN,  dard ki mamlekat meN milaa li gayi

Raat ko ruk k sehraa jagayaa gaya, jab thakan se badan ki tanaabeN giriN
Apne haathoN k takiye banaye gaye,  apni mitti ki chadar bichhaa li gayi

Ek chiRiyaa ki aawaaz aati rahi mere bachchoN ko mujh se chhuRaayaa gaya
Meri basti se mujh ko nikaalaa gaya, mere jangal me basti basaa li gayi

Dast E khaali pe kya hausla kijiye, kaise jeene ki Qeemat adaa kijiye
Abke darbaar meN nazr E sar bhej kar bach nikalne ki surat nikaa li gayi

Kucha E rahzanaaN se guzarte hue, kuchh lutaanaa bhi tha kuchh bachaana bhi tha
Apni sadiyoN ka sona lutaaya gaya apni khaaboN ki jannat bachaa li gayi

Khatm hota hai us raat ka majraa, ab ye kya poochte ho k phir kya hua
Phir chiraGhoN ki aaNkheN bujha di gayiN, phir guloN ki zabaaN kaat dali gayi

Saare manzar Ghubaar E pas E kaarwaaN hogaye, baam O dar sab dhuaaN hogaye
Ab munaajaat ka waqt  hai ghar chalo! sair ki jaa chuki, khaak uRaa li gayi
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 314