* Umar bhar farigh ana na hua *
Umar bhar farigh ana na hua
Woh kabhi ulfat aashna na hua
Keesa-e-Zar , sataish-e-lafzi
Yeh mere ilm ka sila na hua
Aarzi baam-o- dar nahi'n tikte
Ret par ghar kabhi khara na hua
Yeh wahi hai khaza'n raseeda chaman
Rang -o-boo se jo aashna na hua
Dost us ko na kiyo'n "Malik" manoo'n
Jo bure waqt bhi bura na hua
22-1-873, Sultanpura
Hyderabad-500024 (A.P)
|