donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ishtiyaq Zain
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aawargaan-e-shauq ko shayed khabar naheeN *
Aawargaan-e-shauq ko shayed khabar naheeN
sar par khaRi hai raat ke jis ki sehar naheeN

rakhna qadam sanbhal ke ay reh'naward-e-shab
hai sheh'r be'charaagh, hawa mo'tabar naheeN

kya sehr-e-saamarii hai ke aankhon ke saamne
ghar lut raha hai aor makeen ko khabar naheeN

chup ke makaan main hai har ik shakhs aaj band
uthe jahaan se koyi sadaa ,ik bhi dar naheeN

barson se zindagi hai lahoo thookati huii
us par alag sitam hai koii chaara'gar naheeN

daagh-e-firaaq, zakhm-e-wafa, ashk-o-aah-o-gham
is ke siwaa to kuch bhi wafaa ka samar naheeN

dastaar baich kar main bachaaun jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest magar is qadar naheeN
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 487