* Mumkin nahii’n ki bazm-e-tarab phir sajaa sakuu’n *
Mumkin nahii’n ki bazm-e-tarab phir sajaa sakuu’n
ab ye bhii hai bahut ki tumhen yaad aa sakuu’n
ye kyaa tilism hai ki terii jalvaagaah se
nazadiik aa sakuu’n na kahii’n duur jaa sakuu’n
zauq-e-nigaah aur bahaaro’n ke darmiyaa’n
parde gire hai’n vo ki na jin ko uthaa sakuu’n
kis tarah kar sako bahaaro’n ko mutamain
ahal-e-chaman jo main bhii chaman me’n na saakuu’n
terii hasii’n fizaa me’n mere ai naye vatan
aisaa bhii hai koii jise apnaa banaa sakuun
'Azad' saaz-e-dil pe hai’n raqsaa’n ke zam-zame
Khud sun sakuun magar na kisii ko sunaa sakuu’n
|