donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jagannath Azad
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jo thaa dil ka daur gayaa magar hai nazar meN ab bhi vo anjuman, *
Jo thaa dil ka daur gayaa magar hai nazar meN ab bhi vo anjuman,
vo Khayaal-e-dost chaman chaman, vo jamaal-e-dost badan badan,
abhii ibtidaa-e-Hayaat hai, abhii duur manzil-e-ishq hai,
abhii mauj-e-KhuuN hai nafas nafas, abhii zindagii hai kafan kafan,
mere ham-nafas gayaa daur jab faqat aashiyaanoN ki baat thii,
ke hai aaj barq ki raaH meN, meraa bhi chaman teraa bhi chaman,
tere bahr-e-bakshish-o-lutf se jo kabhii huvii thi ataa mujhe,
mere dil meN hai vuhii tashnagii, meri rooH meN hai vuhii jalan,
na terii nazar meN jaN.che kabhii, gul-o-Ghunchaa meN jo hai dilkashii,
jo tuu ittefaaq se dekh le kabhii, Khaar meN hai jo baaNkpan,
ye zamiiN aur uskii vus’ateN, na merii baneN na terii baneN,
magar is pe bhii ye hai zidd hameN, ye teraa watan wo meraa watan,
vuhii maiN hun jiskaa har ek sher ek aarzuu ka mazaar hai,
kabhii wo bhi din the ke jin dinoN, merii har ghazal thi dulhan dulhan,
ye nahiiN ke bazm-e-tarab meN ab ko’ii naghma-zan hi na rahaa,
maiN akelaa is liye rah gayaa ke badal gayii hai wo anjuman,
merii shaiirii hai chhupii huii merii zindagiii ke hijaab meN,
ye hijaab uTthe to ajab nahiiN paRe mujh pe bhii nig’h-e-watan,
wo ajeeb sher-e-Firaq thaa ke hai rooH aalam-e-wajd meN,
wo nigaah-e-naaz zubaaN zubaaN, wo sukoot-e-naaz suKhan suKhan.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 477