* Abhi se aafat e jaan hai ada ada teri *
Abhi se aafat e jaan hai ada ada teri
Yeh ibteda hai toh kya hogi ibteda teri
Meri samaj mein yeh qatil na aaj tak aaya
Ke qatal karti hai talwaar ya ada teri
Naqaab laakh chupaye woh chup nahi sakti
Meri nazar mein jo surat hai dilruba teri
Lahu ki boond bhi aye teer yaar dil mein nahi
Yeh fikar hai ke tawazo karun mein kya teri
Sungha rahi hai mujhe ghash mein nikhat e gesu
Khuda daraaz kare umr ay sabaa teri
Ada pe naaz toh hota hai sab haseeno ko
Fiza ko naaz hai jis par woh hai ada teri
'Jaleel' yaar ke dar tak guzar nahi na sahi
Hazaar shukar hai is ke dil mein jaa teri. |