* Mere jazb e dil ka asar dekh lena *
Mere jazb e dil ka asar dekh lena
Tum aaoge thaamay jigar dekh lena
Unhein tan ke seene ka aalam dekhna
Mujhe dar hai in ki kamar dekh lena
Nishana banaogey tum kya madad ko
Hamein hongey madd e nazar dekh lena
Maze lengey hum dekh kar teri aankhein
Unhein khoob tu naam e bar dekh lena
Kisi ko jala kar na aye shama khush ho
Jo kuch hoga waqt e saher dekh lena
Jo fursat mile aaina dekhne se
Mera haal bhi ek nazar dekh lena
Ibadat kaho dil ke taskeen samjho
Shab is ki sham w sahar dekh lena
Dikhana mera naam e shauq qaasid
Magar pehle in ki nazar dekh lena
Udhar se hai teer nazar chalne waale
‘Jaleel’ aaj apna jigar dekh lena
|