* Tadap kar jab kaha dil ne ke pehlu se nikalte hain *
Tadap kar jab kaha dil ne ke pehlu se nikalte hain
Toh jaane natawaan boli ke chaliye hum bhi chalte hain
Maza jab hai ke aajaaye kahin in ki tabiyat bhi
Zara woh bhi toh jaanein karwatein kyun kar badalte hain
Junoon ke josh mein daman gareban se yeh kehta hai
Ke dekhein tum nikalte ho ke hum pehle nikalte hain
Humein ne de ke dil chaalein sikhayein dilrubai ki
Khuda ki shaan yeh but ab hamein se chaal chalte hain
'Jaleel' ehbaab ki farmaishon se naak mein dum hai
Samaj rakkha hai sab ne shair bhi saanche mein dhalte hain |