donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jameel Mazhari
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Fareb khaaye huwe raNg-o-boo ke saraab ko poojta raha hooN *
Fareb khaaye huwe raNg-o-boo ke saraab ko poojta raha hooN 
Magar nataaij ki roshni men, Khud apni manzil pe aa raha hooN 
Jo dil ki gehraaiyyoN men sub'ha, zuhoor-e-Aadam se ho rahi hai 
MaiN apni fitrat ki in KHudaa~daad quwwatoN ko jaga raha hooN 
MaiN saaNs leta hooN har qadam par, ke bojh bhaari hai ziNdagi ka 
Theh'r zara garm~roo zamaane, ke maiN tere saath aa raha hooN 
Jahaaz~raanoN ko bhi ta'ajjub hai mere is 'azm-e-mutmayin par 
Ke aaNdhiyaaN chal rahi haiN tuNd aur maiN apni kashti chala raha hooN 
Tilism-e-fitrat bhi muskuraata hai meri afsooN~taraaziyoN par 
Bahut se jaadu jaga chuka hooN, bahut se jaadu jaga raha hooN 
Yeh mehr-e-taabaaN se koi keh de ke apni kirnoN ko gin ke rakh le 
MaiN apne sehra ke zarre zarre ko KHud chamakna sikha raha hooN 
Mira taKHayyul, mire iraade, kareNge fitrat pe huk'm~raani 
JahaaN farishtoN ke par haiN larzaaN, maiN is bulaNdi pe ja raha hooN 
Yeh naaz~parwardagaan-e-saahil, DareN miri sa'i-e-garm~roo se 
Ke maiN samandar ki tund maujoN ko rauNd'ta paas aa raha hooN 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 528